Mehfil-e-Gazal #425

Home | March 2000 Index



Date: 13-Mar-2000
Poet: Abid Ali Abid

Abid Ali 'Abid' was born in Lahore in 1906. His
published work is titled Shab-e-Nigaaraa. He 
passed away in 1971 in Lahore.


chaa.Nd sitaaro.n se kyaa puchhuu.N kab din mere phirate hai.n
vo to bechaare Khud hai.n bhikaarii Dere Dere phirate hai.n

jin galiyo.n me.n ham ne sukh kii sej pe raate.n kaaTii thii.n
un galiyo.n me.n vyaakul hokar saa.Njh savere phirate hai.n

is nagarii me.n baaG aur ban kii yaaro liilaa nyaarii hai
pa.nchii apane sar pe uThaakar apane basere phirate hai.n

log to daaman sii lete hai.n jaise ho jii lete hai.n
"Abid" ham diivaane hai.n jo baal bikhere phirate hai.n



-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/

Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Home | March 2000 Index