Mehfil-e-Gazal #427

Home | March 2000 Index



Date: 15-Mar-2000
Poet: Zafar Gorakhpuri


tum ko jab nii.nd na aaye to mujhe Khat likhanaa
jab merii yaad sataaye to mujhe Khat likhanaa

niile pe.Do.n kii ghanii chaa.Nv me.n ha.Nsataa saavan
pyaasii dhartii me.n samaane ko tarasataa saavan
raat bhar chhat pe lagaataar barasataa saavan
dil me.n jab aag lagaaye to mujhe Khat likhanaa

jab paha.Dak uThe kisii shaaKh pe pattaa ko_ii
gud-gudaaye tumhe.n biitaa huaa lamhaa ko_ii
jab merii yaad kaa bechain safiinaa ko_ii
jii ko rah rah ke jalaaye to mujhe Khat likhanaa

jab nigaaho.n ke liye ko_ii nazaaraa na rahe
chaa.Nd chhip jaaye gagan par ko_ii sahaaraa na rahe
log ho jaaye.n paraaye to mujhe Khat likhanaa


I can't seem to remember the missing line from the 
last stanza. Can someone provide the missing line?

-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/

Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Home | March 2000 Index