Mehfil-e-Gazal #608

Meg Index | February 2001 Index



Date: 09-Feb-2001
Poet: Wamiq Jaunpuri


tujh se mil ke dil me.n rah jaatii hai aramaano.n kii baat
yaad rahatii hai kise saahil pe tuufaano.n kii baat

[saahil = shore]


vo to kahiye aaj bhii zanjiir me.n jhankaar hai
varnaa kis ko yaad rah jaatii hai diivaano.n kii baat


kyaa kabhii hogii kisii kii tuu magar ai zindagii
jaan de kar ham ne rakh lii tere diivaano.n kii baat


bazm-e-anjum ho ke bazm-e-Khaak-taa-bazm-e-Khayaal
jis jagah jaao sunaa_ii degii insaano.n kii baat

[bazm-e-anjum = gathering of stars; bazm-e-Khaak = wilderness]
[taa = from...to; bazm-e-Khayaal = imagination]


phuul se bhii narm-tar 'Wamiq' kabhii apanaa kalaam
aur kabhii talavaar ham aashuftaa_saamaano.n kii baat

[narm-tar = softer than; kalaam = talk/writing]
[aashuftaa = of distressed mind]



Meg Index | February 2001 Index