Mehfil-e-Gazal #660

Meg Index | April 2001 Index



Date: 25-Apr-2001
Poet: Firaq Gorakhpuri


chhalak ke kam na ho aisii ko_ii sharaab nahii.n
nigaah-e-nargis-e-r'anaa teraa javaab nahii.n

zamiin jaag rahii hai ki inqalaab hai kal
vo raat hai ko_ii zarraa bhii mahv-e-Khvaab nahii.n

zamii.n us kii falak us kaa qaayanaat us kii
kuchh aisaa ishq teraa Khaanamaa_Kharaab nahii.n

jo tere dard se maharuum hai yahaa.N un ko
Gam-e-jahaa.N bhii sunaa hai ki dastayaab nahii.n

abhii kuchh aur ho insaan kaa lahuu paanii
abhii hayaat ke chehare pe aab-o-taab nahii.n

dikhaa to detii hai behatar hayaat ke sapane
Kharaab ho ke bhii ye zindagii Kharaab nahii.n


Meg Index | April 2001 Index