Mehfil-e-Gazal #687

Meg Index | July 2001 Index



Date: 06-Jul-2001
Poet: Amjad Islam Amjad


This ghazal was not recited at any of the mushairas but is being 
posted by special request for one of our MeG members:


chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din
kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din

raazo.n kii tarah utaro mere dil me.n kisii shab
dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din

pe.Do.n kii tarah husn kii baarish me.n nahaa luu.N
baadal kii tarah jhuum ke ghir aao kisii din

Khushbuu kii tarah guzaro mere dil kii galii se
phuulo.n kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din

phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din

guzare.n jo mere ghar se to ruk jaaye.n sitaare
is tarah merii raat ko chamakaao kisii din

mai.n apanii har ik saa.Ns usii raat ko de duu.N
sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din






Meg Index | July 2001 Index