Home | Index of Poets Malikzada Manzoor Ahmad

na Khauf-e-barq na Khauf-e-sharar lage hai mujhe


na Khauf-e-barq na Khauf-e-sharar lage hai mujhe 
Khud apane baaG ke phuulo.n se Dar lage hai mujhe 

[Khauf=fear; barq=lightning; sharar=spark of fire/ember] 

ajiib dard kaa rishtaa hai saarii duniyaa me.n 
kahii.n ho jalataa makaa.N apanaa ghar lage hai mujhe 

mai.n ek jaam huu.N kis kis ke ho.nTh tak pahu.Nchuu.N 
Gazab kii pyaas liye har bashar lage hai mujhe 

[jaam=wine goblet; Gazab=very strong; bashar=human being] 

taraash letaa huu.N us se bhii aa_iine "Manzoor" 
kisii ke haath kaa patthar agar lage hai mujhe 

[taraashanaa=to shape or carve] 

From 'Shahar-e-Sitam'

Home | Index of Poets Malikzada Manzoor Ahmad
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd December, 2005