phuul the baadal bhii thaa aur vo hasii.n suurat bhii thii
Munir Niazi

phuul the baadal bhii thaa aur vo hasii.n suurat bhii thii
dil me.n lekin aur hii ek shaql kii hasarat bhii thii

jo havaa me.n ghar banaaye kaash ko_ii dekhataa
dasht me.n rahate the par taamiir kii aadat bhii thii

kah gayaa mai.n saamane us ke jo dil kaa mudd'a
kuchh to mausam bhii ajab thaa kuchh merii himmat bhii thii

ajanabii shaharo.n me.n rahate umr saarii kaT ga_ii
go zaraa se faasale par ghar kii har raahat bhii thii

kyaa qayaamat hai "Munir" ab yaad bhii aate nahii.n
vo puraane aashnaa jin se hame.n ulfat bhii thii

Home | Index of Poets


Last updated on 9th December, 1999