Home | Index of Poets Munir Niazi

Dar ke kisii se chhup jaataa hai jaise saa.Np Khazaane me.n


Dar ke kisii se chhup jaataa hai jaise saa.Np Khazaane me.n
zar ke zor se zindaa hai.n sab Khaak ke is viiraane me.n

[zar = gold]

jaise rasm adaa karate ho.n shaharo.n kii aabaadii me.n
subah ko ghar se duur nikal kar shaam ko vaapis aane me.n

[rasm = custom/tradition; vaapis = return]

niile rang me.n Duubii aa.Nkhe.n khulii pa.Dii thii.n sabze par
aks pa.Daa thaa aasmaan kaa shaayad is paimaane me.n

[sabze = green grass/field; aks = reflection]

dil kuchh aur bhii sard huaa hai shaam-e-shahar kii raunaq me.n
kitanii ziyaa be-suud ga_ii hai shiishe ke lafz jalaane me.n

[raunaq = light/brightness; ziyaa = light; be-suud = futile]

mai.n to 'Munir' aa_iine me.n Khud ko tak kar hairaan huaa
ye cheharaa kuchh aur tarah thaa pahale kisii zamaane me.n

Home | Index of Poets Munir Niazi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001