Home | Index of Poets Munir Niazi

main aur meraa Khudaa


laakho.n shaklo.n ke mele me.n tanhaa rahanaa meraa kaam
bhes badal kar dekhate rahanaa tez havaao.n kaa koharaam
ek taraf aavaaz kaa suuraj ek taraf ik guungii shaam
ek taraf jismo.n kii Khushbuu ek taraf is kaa anjaam
ban gayaa qaatil mere liye to apanii hii nazaro.n kaa daam
sab se ba.Daa hai naam Khudaa kaa us ke baad hai meraa naam

[shakl = face; tanhaa = lonely; koharam = loud noise/chaotic din]
[guungii = mute; anjaam = result; qaatil = murderer; daam = trap/net]

Home | Index of Poets Munir Niazi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001