Munir Niazi

Home | Index of Poets Ghazal-o-Nazm

apanii hii teG-e-adaa se aap ghaayal ho gayaa
chaa.Nd ne paanii me.n dekhaa aur paagal ho gayaa
 
ab kahaa.N hogaa vo aur hogaa bhii to vaisaa kahaa.N
soch kar ye baat jii kuchh aur bojhal ho gayaa

dard-e-firaaq me.n hii kaaTii saarii zindagii
garche teraa visaal ba.Daa kaam bhii na thaa

ham hai.n misaal-e-abr magar is havaa se ham
Dar kar simaT hii jaaye.Nge aise bhii ham nahii.n

kisii ko apane amal kaa hisaab kyaa dete
savaal saare Galat the javaab kyaa dete

likh rahaa huu.N mai.n un Khato.n ke javaab
jo ke tum ne kabhii likhe hii nahii.n
 
un javaabo.n me.n in ko rakh denaa
jo ke tum ne kabhii pa.De hii nahii.n

raaste me.n ek bhuulii huii shakl dekh kar
aavaaz dii to lab pe ko_ii naam bhii na thaa

rahanaa thaa us ke saath bahut der magar
in roz-o-shab me.n mujh ko ye fursat nahii.n milii

Home | Index of Poets Ghazal-o-Nazm
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001