Momin Khan Momin #4
Dar to mujhe kis kaa hai ke mai.n kuchh nahii.n kahataa
Momin Khan Momin

Dar to mujhe kiskaa hai ke mai.n kuchh nahii.n kahataa
par haal ye afshaa.N hai ke mai.n kuchh nahii.n kahataa

naaseh ye gilaa hai ke mai.n kuchh nahii.n kahataa
tuu kab merii sunataa hai ke mai.n kuchh nahii.n kahataa

kuchh Gair se ho.nTho.n me.n kahe hai pe jo puuchho
to vahii.n mukarataa hai ke mai.n kuchh nahii.n kahataa

naaseh ko jo chaahuu.N to abhii Thiik banaa duu.N
par Khauf Khudaa kaa hai ke mai.n kuchh nahii.n kahataa

chupake se tere milane kaa ghar vaalo.n me.n tere
is vaaste charchaa hai ke mai.n kuchh nahii.n kahataa

ai chaaraagaro qabil-e-daramaa.N nahii.n ye dard
varnaa mujhe saudaa hai ke mai.n kuchh nahii.n kahataa

har vaqt hai dushnaam har ek baat pe taanaa
phir is pe bhii kahataa hai ke mai.n kuchh nahii.n kahataa

"Momin" baa-Khudaa sihar bayaanii kaa jabhii tak
har ek ko daavaa hai ke mai.n kuchh nahii.n kahataa

Home | Index of Poets


Last updated on 12th February, 1997