Home | Index of Poets Nasir Kazmi

tere Khayaal se lau de uThii hai tanhaa_ii


tere Khayaal se lau de uThii hai tanhaa_ii 
shab-e-firaaq hai yaa terii jalvaa_aaraa_ii 

tuu kis Khayaal me.n hai ai manzilo.n ke shaadaa_ii 
unhe.n bhii dekh jinhe.n raaste me.n niind aa_ii 

pukaar ai jaras-e-kaaravaan-e-subah-e-tarab 
bhaTak rahe hai.n a.Ndhero.n me.n tere saudaa_ii 

rah-e-hayaat me.n kuchh marhale to dekh liye 
ye aur baat terii aarazuu na raas aa_ii 

ye saanihaa bhii muhabbat me.n baarahaa guzaraa 
ki us ne haal bhii puuchhaa to aa.Nkh bhar aa_ii 

phir us kii yaad me.n dil beqaraar hai 'Nasir' 
bichha.D ke jis se hu_ii shahar shahar rusavaa_ii 

Home | Index of Poets Nasir Kazmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 3rd June, 2001