Home | Index of Poets Nasir Kazmi

vo saahilo.n pe gaane vaale kyaa hue


vo saahilo.n pe gaane vaale kyaa hue
vo kashtiyaa.N jalaane vaale kyaa hue
 
[saahil = shore; kashtii = boat]

vo subah aate aate rah ga_ii kahaa.N
jo qaafile the aane vaale kyaa hue
 
[qaafilaa = caravan]

mai.n jin kii raah dekhataa huu.N raat bhar
vo raushanii dikhaane vaale kyaa hue

ye kaun log hai.n mere idhar udhar
vo dostii nibhaane vaale kyaa hue

imaarate.n to jal ke raakh ho ga_ii.n
imaarate.n banaane vaale kyaa hue
 
[imaarat = building; raakh = ashes]

ye aap ham to bojh hai.n zamiin kaa
zamii.n kaa bojh uThaane vaale kyaa hue
 
[bojh = burden]

Home | Index of Poets Nasir Kazmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 20th July, 2001