Home | Index of Poets Parveen Shakir

paa-ba-gil sab hai.n rihaa_ii kii kare tadabiir kaun


paa-ba-gil sab hai.n rihaa_ii kii kare tadabiir kaun 
dast-bastaa shahar me.n khole merii zanjiir kaun 

meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le 
kar rahaa hai mere fard-e-jurm ko tahariir kaun 

merii chaadar to chhinii thii shaam kii tanhaa_ii ne 
beridaa_ii ko merii phir de gayaa tashahiir kaun 

niind jab Khvaabo.n se pyaarii ho to aise ahad me.n 
Khvaab dekhe kaun aur Khvaabo.n ko de taabiir kaun 

ret abhii pichhale makaano.n kii na vaapas aa_ii thii 
phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamir kaun 

saare rishte hijrato.n me.n saath dete hai.n to phir 
shahar se jaate hue hotaa hai daaman_giir kaun 

dushmano.n ke saath mere dost bhii aazaad hai.n 
dekhanaa hai khe.nchataa hai mujh pe pahalaa tiir kaun 

Home | Index of Poets Parveen Shakir
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 25th May, 2001