Home | Index of Poets Parveen Shakir

sundar komal sapano.n kii baaraat guzar ga_ii jaanaa.N


sundar komal sapano.n kii baaraat guzar ga_ii jaanaa.N 
dhuup aa.Nkho.n tak aa pahu.Nchii hai raat guzar ga_ii jaanaa.N 

[komal=soft] 

bhor samay tak jis ne hame.n baaham ulajhaaye rakhaa 
vo albelii resham jaisii baat guzar ga_ii jaanaa.N 

[baaham=with each other] 

sadaa kii dekhii raat hame.n is baar milii to chup ke se 
Khaalii haath pe rakh ke kyaa sauGaat guzar ga_ii jaanaa.N 

kis ko.npal kii aas me.n ab tak vaise hii sar-sabz ho tum 
ab to dhuup kaa mausam hai barasaat guzar ga_ii jaanaa.N 

log na jaane kin raato.n kii muuraade.n maa.Ngaa karate hai.n 
apanii raat to vo jo tere saath guzar ga_ii jaanaa.N 

Home | Index of Poets Parveen Shakir
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 25th May, 2001