Home | Index of Poets Prem Warbartoni

naGmaa_numaa


merii tanhaa_iiyaa.N tum hii lagaa lo mujh ko siine se 
ki mai.n ghabaraa gayaa huu.N is tarah ro-ro ke jiine se 

ye aadhii raat ko phir chuu.Diyo.n sii kyaa khanakatii hai 
ko_ii aataa hai ke merii zanjiire.n chhanakatii hai.n 
ye baate.n kis tarah mai.n puuchhuu.N saavan ke mahiine se 
ke mai.n ghabaraa gayaa huu.N is tarah ro ro ke jiine se 

bahut lambii hai.n raahe.n pyaar kii aur zindagii kam hai 
ghaTaa bhii ghir aa_ii hai diye kii lau bhii maddham hai 
kinaraa duur hotaa jaa rahaa hai phir safiine se 
ke mai.n ghabaraa gayaa huu.N is tarah ro ro ke jiine se 

mujhe piine do apane hii lahuu kaa jaam piine do 
na siine do kisii ko bhii meraa daaman na siine do 
merii vahashat na ba.D jaaye kahii.n daaman ke siine se 
ke mai.n ghabaraa gayaa huu.N is tarah ro ro ke jiine se 

Home | Index of Poets Prem Warbartoni
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 30th December, 2002