Home | Index of Poets Qabil Ajmeri

vo har maqaam se pahale vo har maqaam ke baad


vo har maqaam se pahale vo har maqaam ke baad 
sahar thii shaam se pahale sahar hai shaam ke baad 

har inqalaab-e-mubaarak har inqalaab-e-azaab 
shikast-e-jaam se pahale shikast-e-jaam ke baad 

mujh pe itanii tavajjo mujh se itanaa gurez 
mere salaam se pahale mere salaam ke baad 

charaaG-e-bazm-e-sitam hai.n hamaaraa haal na puuchh 
jale the shaam se pahale bujhe hai.n shaam ke baad 

ye raat kuchh bhii nahii.n thii ye raat sab kuchh hai 
tuluu-e-jaam se pahale tuluu-e-jaam ke baad 

vahii zubaa.N vahii baate.n magar hai kitanaa farq 
tumhaare naam se pahale tumhaare naam ke baad 

hayaat giriyaa-e-shabanam hayaat raqs-e-sharar 
tere payaam se pahale tere payaam ke baad 

ye tarz-e-fiqr ye rang-e-suKhan kahaa.N 'Qabil'
tere kalaam se pahale tere kalaam ke baad 

Contributed by Fayaz Razvi

Home | Index of Poets Qabil Ajmeri
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 20th May, 2001