havas-nasiib nazar ko kahii.n qaraar nahii.n
Sahir Ludhianvi

havas-nasiib nazar ko kahii.n qaraar nahii.n
mai.n mu.ntazir huu.N magar teraa intazaar nahii.n

hamii.n se rang-e-gulistaa.N hamii.n se rang-e-bahaar
hamii.n ko nazm-e-gulistaa.N pe iKhtiyaar nahii.n

abhii na chhe.D mohabbat ke giit ae mutarib
abhii hayaat kaa mahaul Khush_gavaar nahii.n

tumhaare ahd-e-wafaa ko ahad mai.n kyaa samajhuu.N
mujhe Khud apanii mohabbat kaa aitabaar nahii.n

na jaane kitane gile is me.n muztarib hai nadiim
wo ek dil jo kisii kaa gilaa_gusaar nahii.n

gurez kaa nahii.n qaayal hayaat se lekin
jo soz kahuu.N to mujhe maut naagavaar nahii.n

ye kis maqaam pe pahu.Nchaa diyaa zamaane ne
ki ab hayaat pe teraa bhii iKhtiyaar nahii.n

Home | Index of Poets


Last updated on 20th December, 1999