Home | Index of Poets Sahir Ludhianvi

aao ki ko_ii Khvaab bune.n


aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii hasii.n Khvaab bun sake.n

[bunanaa = to weave; sangiin daur = hard/difficult times]
[Das lenaa = to bite; taa-umr = entire life]

go ham se bhaagatii rahii ye tez-gaam umr
Khvaabo.n ke aasare pe kaTii hai tamaam umr

[tez-gaam = fleet-footed]

zulfo.n ke Khvaab, ho.nTho.n ke Khvaab, aur badan ke Khvaab
meraaj-e-fan ke Khvaab, kamaal-e-suKhan ke Khvaab

[meraaj-e-fan = (to reach) summit of art; kamaal-e-suKhan = perfection in poetry]

tahaziib-e-zindagii ke, faroG-e-vatan ke Khvaab
zindaa.N ke Khvaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ke Khvaab

[tahaziib-e-zindagii = civilized life; faroG-e-vatan = nation's progress/upliftment]
[zindaa.N = prison; kuuchaa-e-daar-o-rasan = road leading to the gallows]

ye Khvaab hii to apanii javaanii ke paas the
ye Khvaab hii to apane amal ke asaas the
ye Khvaab mar gaye hai.n to be-rang hai hayaat
yuu.N hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat

[amal = work; asaas = foundation; hayaat = life]
[dast-e-tah-e-sang = hands crushed under a stone (helpless)]

aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii hasii.n Khvaab bun sake.n

Home | Index of Poets Sahir Ludhianvi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001