Sahir Ludhianvi

Home | Index of Poets Ghazal-o-Nazm | Biography

duniyaa ne tajarubaat-o-havaadis kii shaql me.n
jo kuchh mujhe diyaa hai, vo lauTaa rahaa huu.N mai.n

zindagii ko beniyaaz-e-aarazuu karanaa pa.Daa
aah kin aa.Nkho.n se anjaam-e-tamannaa dekhate

mujhe maaluum hai anjaam ruudaad-e-mohabbat kaa
magar kuchh aur tho.Dii der sa_ii-e-rayegaa.N kar luu.N

maut aa ga_ii na ho mere zauq-e-umiid ko
maharuumiyo.n me.n kaif-saa paane lagaa huu.N mai.n

apanii tabaahiyo.n kaa mujhe ko_ii Gam nahii.n
tum ne kisii ke saath mohabbat nibhaah to dii

Contributed by Munir Hussain
 
abhii bujhaao na kandil na kek kaaTo abhii
abhii kuchh aur der meraa pichhalaa saal mat chhiino
 
[kandil=candle; kek=cake]

Home | Index of Poets Ghazal-o-Nazm | Biography
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 20th September, 2001