Home | Index of Poets Saifuddin Saif

talaash


raat kii besukuu.N Khamoshii me.n
ro rahaa huu.N ki so nahii.n sakataa
raahato.n ke mahal banaataa hai
dil jo aabaad ho nahii.n sakataa
 
[besukuu.N = restless; Khamoshii = silence]
[raahat = comfort]
 
duur shama-e-Khayaal ke maanind
shama vaadii kii jhil_milaatii hai
yaas ke beqaraa.N andhere me.n
ek umiid muskuraatii hai
 
[maanind = like/similar to; yaas = disappointment]
[beqaraa.N = boundless/limitless]
 
duur parabat ke paas char_vaahaa
kho gayaa Gam_fazaa taraano.n me.n
bain karatii hai ruuh-e-zaKhm_aaluud
baa.Nsurii kii nahiif taano.n me.n
 
[char_vaahaa = shepherd/goatherd]
[ruuh-e-zaKhm_aaluudaa = wounded soul; nahiif = delicate/weak]
 
tere jaane kaa Gam bhulaataa huu.N
tere aane kii yaad aatii hai
haaye is bebasii ke aalam me.n 
kis zamaane kii yaad aatii hai
 
[bebasii = helplessness]
 
shab ko viiraan rah_guzaaro.n se
sar jhukaaye hue guzarataa huu.N
qah_qaho.n me.n qaraar khoyaa thaa
aa.Nsuo.n me.n talaash karataa huu.N
 
[qah_qahaa = loud laughter; talaash = search]

Home | Index of Poets Saifuddin Saif
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 25th May, 2001