Contributed by Gopi Shanker "Shareek Sikandarabadi"


aadam kaa jism jab ke anaasar se mil banaa
Mohammed Rafi Sauda

aadam kaa jism jab ke anaasar se mil banaa
kuchh aag bach rahii thii so aashiq kaa dil banaa

[anaasar=the five elements]

sar_garm-e-naalaa aaj kal mai.n bhii huu.N andliib
mat aashiyaa.N chaman me.n mere muttasil banaa

jab teshaa kohakaan ne liyaa haath tab ye ishq
bolaa ke apanii chhaatii pe rakhane ko sil banaa

jis tiiragii se roz hai ushaaq kaa siyaah
shaayad usii se cheharaa-e-Khubaa.N pe til banaa

[ushaaq=plural of aashiq; siyaah=dark, black]

lab zindagii me.n kab mile us lab se ai! kalaal
saaGar hamaarii Khaak ko mat kar ke gil banaa

apanaa hunar dikhaa de.nge ham tujh ko shiishaagar
tuuTaa hua kisii ka agar hamase dil banaa

sun sun ke arz-e-haal meraa yaar ne kahaa
"Sauda" na baate.n baiTh ke yaa.N muttasil banaa

Home | Index of Poets


Last updated on 14th August, 1998