ai shab-e-Gam ham hai.n aur baate.n dil-e-naakaam se
Shad Azeemabadi

ai shab-e-Gam ham hai.n aur baate.n dil-e-naakaam se
sote hai.n naam-e-Khudaa sab apane ghar aaraam se

jaagane vaalo.n pe kyaa guzarii vo jaane.n kyaa bhalaa
so rahe hai.n jaa ke bistar par jo apane shaan se

jiite jii ham to Gam-e-fardaa kii dhun me.n mar gaye
kuchh vahii achche hai.n jo vaaqif nahii.n a.njaam se

[fardaa=tomorrow (future); vaaqif=acquainted]

naalaa karane ke liye bhii taab-e-Khush darakaar hai
kyaa baataauu.N dil haTaa jaataa hai kyo.n is kaam se

[naalaa=wail; taab-e-Khush=good mood; darakaar=required]

dekhate ho maikade me.n maikasho saaqii baGair
kis qism kii bekasii paidaa hai shaql-e-jaam se

[qism=type; bekasii=helplessness]

Home | Index of Poets


Last updated on 20th December, 1999