Home | Index of Poets Shakeb Jalali

utarii.n ajiib roshaniyaa.N raat Khvaab me.n


utarii.n ajiib roshaniyaa.N raat Khvaab me.n
kyaa kyaa na aks tair rahe the saraab me.n

[aks = image; tairanaa = to float; saraab = mirage]

kab se hai.n ek harf pe nazare.n jamii.n hu_ii.n
vo pa.Dh rahaa huu.N jo nahii.n likkhaa kitaab me.n

[harf = a letter of the alphabet]

phir tiragii ke Khvaab se chau.Nkaa hai raastaa
phir raushanii-sii dau.D ga_ii hai sahaab me.n

[tiiragii = darkness; sahaab = cloud]

paanii nahii.n ki apane hii chehare ko dekh luu.N
manzar zamii.n ke Dhuu.NDhataa huu.N maahataab me.n

[manzar = scene/view; maahataab = Moon]

kab tak rahegaa ruuh pe pairaahan-e-badan
kab tak havaa asiir rahegii hubaab me.n

[ruuh =soul; pairaahaan-e-badan = dresslike body]
[asiir = imprisoned; hubaab = bubble]

jiine ke saath maut kaa Dar hai lagaa huaa
Khushkii dikhaa_ii dii hai samandar ko Khvaab me.n

[Khushkii = dryness]

ek yaad hai ki chhiin rahii hai labo.n se jaam
ek aks hai ki kaa.Np rahaa hai sharaab me.n

Home | Index of Poets Shakeb Jalali
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001