Home | Index of Poets Shakeb Jalali

lau de uThe vo harf-e-talab soch rahe hai.n


lau de uThe vo harf-e-talab soch rahe hai.n
kyaa likhiye sar-e-daaman-e-shab soch rahe hai.n

[harf-e-talab = words of pleading]
[sar-e-daaman-e-shab = in the last part of the night]

kyaa jaaniye manzil hai kahaa.N jaate hai.n kis simt
bhaTakii hu_ii is bhii.D me.n sab soch rahe hai.n

[simt = direction]

bhiigii hu_ii ek shaam kii dahaliiz pe baiThe
ham dil ke dha.Dakane kaa sabab soch rahe hai.n

[dahaliiz = threshold; sabab = reason]

TuuTe huye patto.n se daraKhto.n kaa ta'alluq
ham duur kha.De kunj-e-tarab soch rahe hai.n

[daraKht = tree; ta'alluq = relationship]
[kunj-e-tarab = happiness of solitude]

is lahar ke piichhe bhii ravaa.N hai.n na_ii lahare.n
pahale nahii.n sochaa thaa jo ab soch rahe hai.n

ham ubhare bhii Duube bhii siyaahii ke bha.Nvar me.n
ham soye nahii.n shab-hamaa-shab soch rahe hai.n

[siyaahii = darkness; bha.Nvar = whirlpool]
[shab-hamaa-shab = night after night]

Home | Index of Poets Shakeb Jalali
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 6th February, 2002