duur hai manzil raahe.n mushkil aalam hai tanhaaii kaa
Shakeel Badayuni

duur hai manzil raahe.n mushkil aalam hai tanahaa_ii kaa
aaj mujhe ehasaas huaa hai apani shikastaapaa_ii kaa

[shikastaah_paaii=infirmity of the feet]

dekh ke mujh ko duniyaaa vaale kahane lage hai.n diivaanaa
aaj vahaa.N hai ishq jahaa.N kuchh Khauf nahii.n rusavaa_ii kaa

chho.D de.n rasm-e-Khud_nigarii ko to.D de.n apanaa iimaa.N
Khatm kiye detaa hai zaalim ruup terii a.nga.Daa_ii kaa

Note: Peenaz Masani sinsg this as:
chho.D de rasm-e-Khud_nigarii ko chho.D de apanaa haath yahaa.N
Khaak kiye detaa hai zaalim ruup terii a.nga.Daa_ii kaa

mai.n ne ziyaa husn ko baKhshii us kaa to ko_ii zikr nahii.n
lekin ghar ghar me.n charchaa hai aaj terii raanaa_ii kaa

[ziyaaye.n=splendour, brilliance; raanaaii=radiance]

ahal-e-havas ab ghabaraate hai.n Duub ke behar-e-Gam me.n "Shakeel"
pahale na thaa bechaaro.n ko a.ndaazaa geharaa_ii kaa

[havas=desire; behar=sea, gulf, bay]

Home | Index of Poets


Last updated on 19th December, 1997