merii zindagii hai zaalim, tere Gam se aashkaaraa
Shakeel Badayuni

merii zindagii hai zaalim, tere Gam se aashkaaraa
teraa Gam hai dar-haqiiqat mujhe zindagii se pyaaraa

vo agar buraa na maane to jahaa.N-e-rang-o-buu me.n
mai.n sukuun-e-dil kii Khaatir koii Dhuu.NDh luu.N sahaaraa

ye fulak fulak havaaye.N ye jhukii jhukii ghaTaaye.N
vo nazar bhii kyaa nazar hai jo samajh na le ishaaraa

mujhe aa gayaa yaqii.n saa yahii hai merii ma.nzil
sar-e-rah jab kisii ne mujhe daffa'atan pukaaraa

mai.n bataauu.N farq naasih, jo hai mujh me.n aur tujh me.n
merii zindagii talaatum, terii zindagii kinaaraa

mujhe guftaguu se ba.Dakar Gam-e-izn-e-guftaguu hai
wahii baat puuchhte hai.n jo na kah sakuu.N dobaaraa

koii aye 'Shakeel' dekhe, ye junuu.N nahii.n to kyaa hai
ke usii ke ho gaye ham jo na ho sakaa hamaaraa

Home | Index of Poets


Last updated on 19th December, 1997