Contributed by Saleem A Khanani
Additions by Abhay Phadnis


Gam-e-aashiqii se kah do raah-e-aam tak na pahu.Nche
Shakeel Badayuni

Gam-e-aashiqii se kah do raah-e-aam tak na pahu.Nche
mujhe Khauf hai ye tohamat mere naam tak na pahu.Nche

mai.n nazar se pee rahaa thaa to ye dil ne bad-duaa dii
teraa haath zindagii bhar kabhii jaam tak na pahu.Nche

naii subah par nazar hai magar aah ye bhii Dar hai
ye sahar bhii raftaa raftaa kahii.n shaam tak na pahu.Nche

vo navaa-e-muzamahil kyaa na ho jis me.n dil kii dha.Dakan
vo sadaa-e-ahale-dil kyaa jo avaam tak na pahu.Nche

u.nhe.n apane dil kii Khabare.n mere dil se mil rahii hai.n
mai.n jo unase ruuTh jaauu.N to payaam tak na pahu.Nche

ye adaa-e-beniaazii tujhe bevafaa mubaarak
magar aisii beruKhii kyaa ke salaam tak na pahu.Nche

jo naqaab-e-ruKh uThaa dii to ye qaid bhii lagaa dii
uThe har nigaah lekin koii baam tak na pahu.Nche

vahii ik Khamosh naGmaa hai "Shakeel" jaan-e-hastii
jo zubaa.N tak na aaye jo qalaam tak na pahu.Nche

Home | Index of Poets


Last updated on July 1st, 1998