shaayad aaGaaz huaa phir kisii afasaane kaa
Shakeel Badayuni

shaayad aaGaaz huaa phir kisii afasaane kaa
hukm aadam ko hai jannat se nikal jaane kaa

[aaGaaz=beginning]

un se kuchh kah to rahaa huu.N magar allaah na kare
vo bhii mafahuum na samajhe mere afasaane kaa

[mafahuum=meaning]

dekhanaa dekhanaa ye hazarat-e-vaa_iz hii na ho.n
raastaa puuchh rahaa hai ko_ii maiKhaane kaa

beta'alluq tere aage se guzar jaataa huu.N
ye bhii ek husn-e-talab hai tere diivaane kaa

[beta'alluq=without acknowledgement; husn-e-talab=way of wanting/desiring]

hashr tak garmii-e-ha.ngaamaa-e-hastii hai "Shakeel"
sil-silaa Khatm na hogaa mere afasaane kaa

[hashr=day of judgement]

Home | Index of Poets


Last updated on 4th June, 1999