Home | Index of Poets Shamim Jaipuri

teraa jalvaa nihaayat dil nashii.n hai


teraa jalvaa nihaayat dil nashii.n hai 
muhabbat lekin is se bhii hasii.n hai 

junuu.N kii ko_ii manzil hii nahii.n hai 
yahaa.N har gaam gaam-e-avvalii hai 

sunaa hai yuu.N bhii aksar zikr un kaa 
ki jaise kuchh ta'aalluq hii nahii.n hai 

masiihaa ban ke jo nikale the ghar se 
lahuu me.ntar u.nhii.n kii aastii.n hai 

mai.n raah-e-ishq kaa tanahaa musaafir 
kise aavaaz duu.N ko_ii nahii.n hai 

'Shamim' us ko kahii.n dekhaa hai tum ne 
sunaa hai vo rag-e-jaa.N ke qarii.n hai 

[qarii.n=near] 

Home | Index of Poets Shamim Jaipuri
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001