Home | Index of Poets Shamim Jaipuri

kyuu.N hame.n maut ke paiGaam diye jaate hai.n


kyuu.N hame.n maut ke paiGaam diye jaate hai.n
ye sazaa kam hai ke jiye jaate hai.n

[paiGaam = message; sazaa = punishment]

nashaa dono.n me.n hai saaqii mujhe Gam de yaa sharaab
mai bhii pii jaatii hai aa.Nsuu bhii piye jaate hai.n

[mai = wine]

ek tuu hai ke hamaarii nahii.n tujh ko parvaa
ek ham hai.n ke teraa naam liye jaate hai.n

zindagii apanii kashaakash me.n guzaratii hai "Shamim"
jii nahii.n chaahataa jiine ko jiye jaate hai.n

[kashaakash = struggle]

Home | Index of Poets Shamim Jaipuri
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001