ishq kyaa chiiz hai ye puuchhiye paravaane se
Sahir Hoshiarpuri

ishq kyaa chiiz hai ye puuchhiye paravaane se
zindagii jis ko mayassar hu_ii jal jaane se

maut kaa Khauf ho kyaa ishq ke diivaane ko
maut Khud kaa.Npatii hai ishq ke diivaane se

ho gayaa Dher vahii.n aah bhii nikalii na ko_ii
jaane kyaa baat kahii shamaa ne paravaane se

husn be-ishq kahii.n rah nahii.n sakataa zi.ndaa
bujh ga_ii shamaa bhii paravaane ke jal jaane se

khaaye jaatii hai nadaamat mujhe is Gafalat kii
hosh me.n aa ke chalaa aayaa huu.N mayaKhaane se

[nadaamat=shame; Gafalat=neglect]

kar diyaa gardish-e-ayyaam ne rusvaa "Sahir"
mujh ko shikavaa hai yagaane se na begaane se

[garidh-e-ayyaam=cycle of time; yagaane=friends]

Home | Index of Poets


Last updated on 25th May, 1999