Home | Index of Poets Sagar Siddiqui

ek muddat hu_ii ek zamaanaa huaa


ek muddat hu_ii ek zamaanaa huaa 
Khaak-e-gulashan me.n jab aashiyaanaa huaa 

zulf-e-baraham kii jab se shanaasaa_ii hu_ii 
zindagii kaa chalan mujremaanaa huaa 

phuul jalate rahe chaa.Nd ha.Nsate rahaa 
aarazuu kaa muqammal fasaanaa huaa 

daaG dil ke shaha.nshaah ke sikke bane 
dil kaa muflis-kadaa jab Khazaanaa huaa 

rah_bar ne palaT kar na dekhaa kabhii 
rahr-o-raaste kaa nishaanaa huaa 

ham jahaa.N bhii gaye zauq-e-sajdaa liye 
har jagah aap kaa aasataanaa huaa 

dekh mizaraab se Khuun Tapakane lagaa 
saaz kaa taar marG-e-taraanaa huaa 

pahale hotii thii ko_ii vafaa-paravarii 
ab to "SaaGar" ye qissaa puraanaa huaa 

Contributed by Sudhanshu Ambiye

Home | Index of Poets Sagar Siddiqui
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 26th December, 2002