Home | Index of Singers Begum Akhtar Page

duur hai manzil raahe.n mushkil aalam hai tanhaa_ii kaa
Shakeel Badayuni


duur hai manzil raahe.n mushkil aalam hai tanhaa_ii kaa
aaj mujhe ehasaas huaa hai apanii shikastaa-paa_ii kaa

[shikastaa_paa_ii = infirmness of the legs]

dekh ke mujh ko duniyaaavaale kahane lage hai.n diivaanaa
aaj vahaa.N hai ishq jahaa.N kuchh Khauf nahii.n rusvaa_ii kaa

chho.D de.n rasm-e-Khud_nigaarii ko to.D de.n apanaa iimaa.N
Khatm kiye detaa hai zaalim ruup terii anga.Daa_ii kaa

mai.n ne ziyaaye.n husn ko baKhshii.n us kaa to ko_ii zikr nahii.n
lekin ghar ghar me.n charchaa hai aaj terii raanaa_ii kaa

[ziyaaye.n = splendour; raanaa_ii = radiance]

ahl-e-havas ab pachhataataa hai Duub ke bahar-e-Gam me.n 'Shakeel'
pahale na thaa in bechaaro.n ko andaazaa gaharaa_ii kaa

[bahar = sea] 

Available in Album(s):
Golden Collection
Golden Moments Vol 3

Home | Index of Singers Begum Akhtar Page
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.ghazalsingers.com
Last updated on: 20th June, 2001