safar me.n raah ke aashob se na Dar jaanaa
Alam Tab 'Tashna'

safar me.n raah ke aashob se na Dar jaanaa
pa.De jo aag kaa dariyaa to paar kar jaanaa

[aashob=turmoil]

ye ik ishaaraa hai aafaat-e-naagahaanii kaa
kisii jagah se pari.ndo.n kaa kuuch kar jaanaa

[aafaat-e-naagahaanii=unexpected problem]

ye intaqaam hai dasht-e-balaa se baadal kaa
samu.ndaro.n pe barasate hue guzar jaanaa

tumhaaraa qurb bhii duurii kaa istiaaraa hai
ki jaise chaa.Nd kaa taalaab me.n utar aanaa

merii yaqii.n ko ba.Daa badagumaan kar ke gayaa
duaa-e-niim_shab teraa be-asar jaanaa

[duaa-e-niim_shab=midnight prayer]

ajab hai.n rasm-e-gah-e-zindagii ki ye a.ndaaz
usii ne vaar kiyaa jisane besipar jaanaa

[besipar=without a shield]

hamaare dam se hii aavaargii-e-shab thii
hame.n ajiib lage ab shaam hii se ghar jaanaa

Home | Index of Poets


Last updated on 29th Januuary, 1998