Home | Index of Poets Wasim Barelvi

usuulo.n pe jahaa.N aa.Nch aaye Thakaraanaa zaruurii hai


usuulo.n pe jahaa.N aa.Nch aaye Thakaraanaa zaruurii hai
jo zindaa ho.n to phir zindaa nazar aanaa zaruurii hai

[usuul = principles]

na_ii umro.n kii Khud_muKhtaariyo.n ko kaun samajhaaye
kahaa.N se bach ke chalanaa hai kahaa.N jaanaa zaruurii hai

thake haare parinde jab basere ke liye lauTe 
saliiqaamand shaaKho.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai

bahut bebaak aa.Nkho.n me.n ta'alluq Tik nahii.n paataa
muhabbat me.n kashish rakhane ko sharmaanaa zaruurii hai

[bebaak = bold]

saliiqaa hii nahii.n shaayad use mahasuus karane kaa
jo kahataa hai Khudaa hai to nazar aanaa zaruurii hai

mere ho.nTho.n pe apanii pyaas rakh do aur phir socho
ki is ke baad bhii duniyaa me.n kuchh paanaa zaruurii hai

Home | Index of Poets Wasim Barelvi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 4th July, 2001