Home | Index of Poets Bahadur Shah Zafar

baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii


baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii 
jaisii ab hai terii mahafil kabhii aisii to na thii 

le gayaa chhiin ke kaun aaj teraa sabr-o-qarar 
beqaraarii tujhe ai dil kabhii aisii to na thii 

chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin 
jaise ab ho ga_ii qaatil kabhii aisii to na thii 

un kii aa.Nkho.n ne Khudaa jaane kiyaa kyaa jaaduu 
ke tabiiyat merii maa_il kabhii aisii to na thii 

aks-e-ruKh-e-yaar ne kis se hai tujhe chamakaayaa 
taab tujh me.n maah-e-kaamil kabhii aisii to na thii 

kyaa sabab tuu jo biga.Dataa hai "Zafar" se har baar 
Khuu terii huur-e-shamaa_il kabhii aisii to na thii 

Home | Index of Poets Bahadur Shah Zafar
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 4th January, 2003