Home | Index of Poets Zahid

phir se mausam bahaaro.n kaa aane ko hai


phir se mausam bahaaro.n kaa aane ko hai 
phir se rangii.n zamaanaa badal jaayegaa 
ab kii bazm-e-charaaGaa.N sajaa le.nge ham 
ye bhii aramaa.N dil kaa nikal jaayegaa 

aap kar de.n jo mujh pe nigaah-e-karam 
merii ulfat kaa rah jaayegaa kuchh bharam 
yuu.N fasaanaa to meraa rahegaa yahii.n 
sirf unavaan us kaa badal jaayegaa 

phiikii phiikii sii kyuu.N shaam-e-maiKhaanaa hai 
lutf-e-saaqii bhii kam Khaalii paimaanaa hai 
apanii nazaro.n se hii kuchh pilaa diijiye 
rang mahafil kaa Khud hii badal jaayegaa 

mere miTane kaa un ko zaraa Gam nahii.n 
zulf bhii un kii ai dost bar_ham nahiN 
apane hone naa hone se hotaa hai kyaa 
kaam duniyaa kaa yuu.N hii to chal jaayegaa 

aap ne dil jo 'Zahid' kaa to.Daa to kyaa 
aap ne us kii duniyaa ko chho.Daa to kyaa 
aap itane to aaKhir pareshaa.N na ho.n 
vo sambhalate sambhalate sambhal jaayegaa 

Home | Index of Poets Zahid
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 18th June, 2001