Home | Index of Poets Zia Jalandhari

dil me.n jo kuchh hai abhii us kii paziiraa_ii nahii.n


dil me.n jo kuchh hai abhii us kii paziiraa_ii nahii.n
hamaa Khushbuu huu.N par khilane kii gha.Dii aa_ii nahii.n

[paziiraa_ii = acceptance]

ankahii baat ke sau ruup kahii baat kaa ek
kabhii sun vo bhii jo minnat-e-kash-e-goyaa_ii nahii.n

[goyaa_ii = power of speech]

merii nazaro.n me.n hai khilate hue phuulo.n kii tarah
vo namii jo abhii shaaKho.n me.n bhii laharaa_ii nahii.n

kyaa manaazir the ki jo dekhatii aa.Nkho.n ko dekhe
Khvaab bunataa huu.N ki aasuudaa-e-biinaa_ii nahii.n

[manaazir = scenes/views; aasuudaa-e-binaa_ii = satisfaction of sight/vision]

sabhii daanaa sabhii sar Daal ke chup baiThe rahe
ki yahaa.N ko_ii bhii shaa_istaa-e-rusvaa_ii nahii.n

[daanaa = wise]

dil bujhaa ho to gul-e-naGmaa bhii nashtar hai 'Zia'
shiddat-e-Gam kaa ilaaj anjuman-e-aaraa_ii nahii.n

Home | Index of Poets Zia Jalandhari
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 9th July, 2002