Mehfil-e-Gazal #6

Home | July'98 Index


A ghazal by Sir Mohammed Iqbal

Ghulam Ali starts the ghazal with:

jaam jab piitaa huu.N, muu.Nh se kahataa huu.N bismillaah
kaun kahataa hai ki ri.ndo.n ko Khudaa yaad nahii.n


The ghazal:

ko_ii samajhaayiye ki kyaa ra.ng hai maiKhaane kaa
aa.Nkh saaqii kii uThe, naam ho paimaane kaa

garmii-e-shamaa kaa afasaanaa sunaanevaalo
raqs dekhaa nahii.n tum ne abhii paravaane kaa

[garmii-e-shamaa = shamaa kii garmii; raqs = dance]

chashm-e-saaqii mujhe har jaam pe yaad aatii hai
raastaa bhuul na jaauu.N kahii.n maiKhaane kaa

[chashm-e-saaqii = saaqii kii nazar]

ab to har shaam guzaratii hai isii kuuche me.n
ye natiijaa huaa naaseh tere samajhaane kaa

[kuuchaa = street; natiijaa = result; naaseh = advisor]

ab to har ma.nzil se guzarnaa to hai aasaa.N "Iqbal"
ishq hai naam Khud apane se guzar jaane kaa




Home | July'98 Index