Mehfil-e-Gazal #27
Home |
August '98 Index
sher ke parde me.n mai.n ne Gam sunaayaa hai bahut
marsiye ne dil ko mere bhii rulaayaa hai bahut
[marsiyaa = elegy/song of mourning]
vaadii-o-kohasar me.n rotaa huu.N dhaa.De maar-maar
dilbaraan-e-shahar ne mujh ko sataayaa hai bahut
[vaadii = valley; kohasar = mountain; dhaa.De maar-maar ke ronaa = to cry very loudly]
vaa nahii.n hotaa kisii se dil giriftaa ishq kaa
zaahiraa Gam-gii.n use rahanaa Khush aayaa hai bahut
[vaa = open; zaahiraa = in reality/in fact; Gam-gii.n = sad/drowned in sorrow]
A qataah:
phuul, gul, shams-o-qamar saare hii the
par hame.n un me.n tumhii.n bhaaye bahut
'Meer' se puuchhaa jo mai.n aashiq ho tum
ho ke kuchh chupake se sharmaaye bahut
:-)
Home |
August '98 Index