Mehfil-e-Gazal #33

Home | August '98 Index



The first of Faiz's poetry, for your reading pleasure... This is a delightful 
Gazal, sung by Farida Khanum in her inimitable style.

yuu.N sajaa chaa.Nd ki jhalakaa tere a.ndaaz kaa ra.ng
yuu.N fazaa mahakii ki badalaa mere hamaraaz kaa ra.ng

saayaa-e-chashm me.n hairaa.N ruKh-e-raushan kaa jamaal
surKhii-e-lab pe pareshaa.N terii aavaaz kaa ra.ng

bepiye ho.n ki agar lutf karo aaKhir-e-shab
shiishaa-e-may me.n Dhale subah ke aaGaaz kaa ra.ng

cha.ngo-nay ra.ng pe the apane lahuu ke dam se
dil ne lay badalii to madham huaa har saaz kaa ra.ng

[cha.ng= a type of musical instrument; nat = flute]

ik suKhan aur ki phir ra.ng-e-takallum teraa
harf-e-saadaa ko inaayat kare ejaaz kaa ra.ng

[takallum = conversation; ejaaz = miracle]


This ghazal is from Faiz's compilation "Sar-e-Vaadi-e-Seenaa".




Home | August '98 Index