Mehfil-e-Gazal #50

Home | September '98 Index




Bowing to numerous requests, we are discontinuing our series of a 
poet a week, and reverting to ghazals and nazms by random poets 
everyday.

Today's ghazal is by Dr. Bashir Badr.

mere saath tum bhii duaa karo yuu.N kisii ke haq me.n buraa na ho
kahii.n aur ho na ye haadasaa ko_ii raaste me.n judaa na ho

sar-e-shaam Thaharii hu_ii zamii.n, aasamaa.N hai jhukaa huaa
usii mo.D par mere vaaste vo charaaG leke Kha.Daa na ho

merii chhat se raat kii subah tak ko_ii aa.Nsuuo.n kii lakiir hai
zaraa ba.D ke chaa.Nd se puuchhanaa vo isii taraf se gayaa na ho

mujh yuu.N lagaa ki Khaamosh Khushbuu ke ho.NTh titalii ne chhuu liye
i.nhii.n zard patto.n kii oT me.n ko_ii phuul soyaa huaa na ho

isii ehatiyaat me.n mai.n rahaa, isii ehatiyaat me.n vo rahaa
vo kahaa.N kahaa.N mere saath hai kisii aur ko ye pataa na ho


For those of you who have joined the mailing list lately, the 
previous Mehfil-e-Gazal e-mails can be read at 
http://www.geocities.com/Tokyo/Ginza/6631/meg.html





Home | September '98 Index