Mehfil-e-Gazal #62

Home | October '98 Index




Today's poet is Munir Niazi. I consider the ghazal to be 'aamiana' 
(ordinary) and salvaged only by Ghulam Ali's singing.


un se nain milaakar dekho
ye dhokhaa bhii khaa kar dekho

duurii me.n kyaa bhed chhipaa hai
isakii khoj lagaakar dekho

[bhed = secret]

kisii akelii shaam kii chup me.n
giit puraane gaakar dekho

aaj kii raat bahut kaalii hai
soch ke diip jalaa kar dekho

jaag-jaag kar umr kaTii hai
nii.nd ke dvaar hilaakar dekho

[dvaar = door]




Home | October '98 Index