Mehfil-e-Gazal #94

Home | Deccember '98 Index



Date: 22-Dec-98
Poet: Sahir Hoshiarpuri

Today I would like to share with you a Gazal sung 
by Jagjit and Chitra. This was first sung in their 
concert "Come Alive" in London. This is a 
beautiful Gazal, one of my favourites.


kaun kahataa hai mohabbat kii zubaa.N hotii hai 
ye haqiiqat to nigaaho.n se bayaa.N hotii hai 

vo na aaye to sataatii hai Khalish sii dil ko 
vo jo aaye to Khalish aur javaa.N hotii hai 

ruuh ko shaad kare dil ko jo puranuur kare 
har nazaare me.n ye ta.nviir kahaa.N hotii hai 

[shaad = happy; puranuur = illuminate; ta.nviir = light/radiance]

zabt-e-sailaab-e-mohabbat ko kahaa.N tak roke 
dil me.n jo baat ho aa.Nkho.n se ayaa.N hotii hai 

[zabt = tolerance/forebearance; sailaab = flood; ayaa.N = apparent/clear]

zi.ndagii ek sulagatii sii chitaa hai "Sahir" 
sholaa ba.ntii hai na ye bujh ke dhuaa.N hotii hai 





Home | December '98 Index