Mehfil-e-Gazal #100

Home | March '99 Index



Date: 02-Mar-99
Poet: Firaq Gorakhpuri

sitaaro.n se ulajhataa jaa rahaa huu.N
shab-e-furqat bahut ghabaraa rahaa huu.N

tere Gam ko bhii kuchh bahalaa rahaa huu.N
jahaa.N ko bhii samajhaa rahaa huu.N

yaqii.n ye hai haqiiqat khul rahii hai
gumaa.N ye hai ki dhokhe khaa rahaa huu.N

agar mumkin ho le le apanii aahaT
Khabar do husn ko mai.n aa rahaa huu.N

hade.n husn-o-ishq kii milaakar
qayaamat par qayaamat Dhaa rahaa huu.N

Khabar hai tujhako ai zabt-e-muhabbat
tere haatho.n me.n luTataa jaa rahaa huu.N

asar bhii le rahaa huu.N terii chup kaa
tujhe kaayal bhii karataa jaa rahaa huu.N

bharam tere sitam kaa khul chukaa hai
mai.n tujhase aaj kyo.n sharmaa rahaa huu.N

tere pahaluu me.n kyo.n hotaa hai mahasuus
ki tujhase duur hotaa jaa rahaa huu.N

jo ulajhii thii kabhii aadam ke haatho.n
vo gutthii aaj tak sulajhaa rahaa huu.N

muhabbat ab muhabbat ho chalii hai
tujhe kuchh bhuulataa-saa jaa rahaa huu.N

ye sannaaTaa hai mere paa.Nv kii chaap
"Firaq" apanii kuchh aahaT paa rahaa huu.N





Home | March '99 Index