Mehfil-e-Gazal #146

Home | March '99 Index



Date: 08-Mar-99
Poet: Pandit Anand Narain "Mullah"

jaan-e-afasaanaa yahii kuchh bhii ho afasaane kaa naam
zi.ndagii hai dil kii dha.Dakan tez ho jaane kaa naam

qataraa qataraa zi.ndagii ke zahar kaa piinaa hai Gam
aur Khushii hai do gha.Dii pii kar bahak jaane kaa naam

i.ntazaar-e-fasl-e-gul me.n kho chuke aa.Nkho.n kaa nuur
aur bahaar-e-baaG letii hii nahii.n aane kaa naam

taab-e-naakaamii nahii.n to aarazuu karataa hai kyaa
aarazuu hai mauj ke saahil se Takaraane kaa naam

[taab-e-naakaamii = the strength to bear failure]

aaj tuu kal ko_ii aur hogaa sadar-e-bazm-e-may
saaqiyaa tujh se nahii.n ham se hai maiKhaane kaa naam

[sadar-e-bazm-e-may = head of the gathering of wine-drinkers]

vaaqif-e-"Mullah" na thii bazm-e-Khirad, ye tay huaa
ho na ho, ye hai kisii mashahuur diivaane kaa naam

[vaaqif = acquainted with; bazm-e-Khirad = gathering of intelligent people]

-------------------------------------------------

We have made changes in the subject of the post. 
The name of the poet will be included from now on. 
This is in response to numerous requests received 
by us. Do let us know your inputs regarding this.




Home | March '99 Index