Mehfil-e-Gazal #158

Home | March '99 Index



Date: 26-Mar-99
Poet: Firaq Gorakhpuri

raat aadhii se ziyaadaa ga_ii thii saaraa aalam sotaa thaa
naam teraa le le kar ko_ii dard kaa maaraa rotaa thaa

chaaraagaro ye taskii.n kaisii mai.n bhii huu.N is duniyaa me.n
un ko aisaa dard kab uThaa jin ko bachanaa hotaa thaa

[chaaraagaro = physicians/healers; taskii.n = consolation]

kuchh kaa kuchh kah jaataa thaa mai.n furqat kii betaabii me.n
sunane vaale ha.Ns pa.Date the hosh mujhe tab aataa thaa

[furqat = separation/parting]

taare aksar Duub chale the, raat ke rone vaalo.n ko
aane lagii thii nii.nd sii kuchh, duniyaa me.n saveraa hotaa thaa

tark-e-muhabbat karane vaalo kaun aisaa jag jiit liyaa
ishq ke pahale ke din socho kaun ba.Daa sukh hotaa thaa

[tark-e-muhabbat = abandonment of love]

us ke aa.Nsuu kis ne dekhe us kii aahe.n kis ne sunii.n
chaman chaman thaa husn bhii lekin dariyaa dariyaa rotaa thaa

pichhalaa pahar thaa hijr kii shab kaa, jaagataa rab sotaa i.nsaan
taaro.n kii chhaao.n me.n ko_ii "Firaq" saa motii pirotaa thaa

[pichhalaa = last; hijr kii shab = night of parting; rab = God]
[pironaa = to thread]

-------------------------------------------------
From time to time, there have been requests for information about
online Urdu dictionaries. Here is a link to an Urdu-to-English dictionary 
in ASCII (plain text) format:

http://www.cs.wisc.edu/~navin/india/urdu.dictionary

Another helpful dictionary is the English-to-Urdu dictionary available at:

http://www.student.nada.kth.se/~d94-fsi/dictionary/

Hope you all find this useful




Home | March '99 Index