Mehfil-e-Gazal #193

Home | May '99 Index



Date: 21-May-99
Poet: 'Shayar' Himayat Ali

har qadam par nit naye saa.Nche me.n Dhal jaate hai.n log
dekhate hii dekhate kitane badal jaate hai.n log

kis liye kije kisii gum-gashtaa jannat kii talaash
jab ki miTTii ke khilone se bahal jaate hai.n log

[gum-gashtaa = lost; jannat = heaven]

kitane saadaa dil hai.n ab bhii sun ke aavaaz-e-jaras
pesh-o-pas se be-Khabar ghar se nikal jaate hai.n log

[aavaaz-e-jaras = sound of bells; pesh-o-pas = thought and wisdom]

shamaa kii maani.nd ahal-e-a.njuman se beniyaaz
aksar apanii aag me.n chup-chaap jal jaate hai.n log

"Shayar" un kii dostii kaa ab bhii dam bharate hai.n aap
Thokare.n khaa kar to sunate hai.n sambhal jaate hai.n log




Home | May '99 Index