Mehfil-e-Gazal #206

Home | June '99 Index



Date: 10-Jun-99
Poet: Makhmoor Saeedi

bikharate TuuTate lamaho.n ko apanaa ham-safar jaanaa
thaa is raah me.n aaKhir hame.n Khud bhii bikhar jaanaa

havaa ke dosh par baadal ke Tuka.De kii tarah ham hai.n
kisii jho.nke se puuche.nge ki hai ham ko kidhar jaanaa

[dosh = shoulder]

mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii
jahaa.N is shahar me.n raushanii dekho Thahar jaanaa

pas-e-zulmat ko_ii suuraj hamaaraa mu.ntazir hogaa
isii ek vaham ko hamane chiraaG-e-rahaguzar jaanaa

[pas-e-zulmat = beyond the darkness; mu.ntazir = waiting]

dayaar-e-Khaamashii se ko_ii rah-rah kar bulaataa hai
hame.n "Makhmoor"ek din hai isii aavaaz par jaanaa

[dayaar-e-Khamashii = house of death]




Home | June '99 Index